na kar paaye dushman bhi jo dushmani mein
kiya hai rafeeqon ne vo dosti mein
buzurgon se paaya hai ye raaz ham ne
hai jeene ki lazzat faqat saadgi mein
abas hai ibadat abas is ka taqwa
agar aadmiyat nahin aadmi mein
falak tak agar tu gaya bhi to kya hai
bahut fasla hai abhi aagahi mein
zamaane ko ab koi kaise bataaye
badi teergi hai nayi raushni mein
bahadur mara ek hi baar laaghar
kai baar buzdil mara zindagi mein
न कर पाए दुश्मन भी जो दुश्मनी में
किया है रफ़ीक़ों ने वो दोस्ती में
बुज़ुर्गों से पाया है ये राज़ हम ने
है जीने की लज़्ज़त फ़क़त सादगी में
अबस है इबादत अबस इस का तक़्वा
अगर आदमियत नहीं आदमी में
फ़लक तक अगर तू गया भी तो क्या है
बहुत फ़ासला है अभी आगही में
ज़माने को अब कोई कैसे बताए
बड़ी तीरगी है नई रौशनी में
बहादुर मरा एक ही बार 'लाग़र'
कई बार बुज़दिल मरा ज़िंदगी में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Prakash Laghar
our suggestion based on Om Prakash Laghar
As you were reading Revenge Shayari Shayari