dair-o-kaaba ki azmat musallam magar
may-kada bhi khuda hi ke ghar sa lage
chaand taaron ki jo de raha hai khabar
dekhne mein to vo be-khabar sa lage
gumrahi mein bhi deewaana-e-dil-figaar
manzil-e-hosh ka raahbar sa lage
ye jahaan rashk-e-jannat hai kis ke liye
aur kisi ko yahi dard-e-sar sa lage
jheel mein adh-khile phool par chaandni
ham ko manzar ye teri nazar sa lage
sham-e-bazm-e-adab tha vo kal tak magar
aaj laaghar charaagh-e-sehr sa lage
दैर-ओ-काबा की अज़्मत मुसल्लम मगर
मय-कदा भी ख़ुदा ही के घर सा लगे
चाँद तारों की जो दे रहा है ख़बर
देखने में तो वो बे-ख़बर सा लगे
गुमरही में भी दीवाना-ए-दिल-फ़िगार
मंज़िल-ए-होश का राहबर सा लगे
ये जहाँ रश्क-ए-जन्नत है किस के लिए
और किसी को यही दर्द-ए-सर सा लगे
झील में अध-खिले फूल पर चाँदनी
हम को मंज़र ये तेरी नज़र सा लगे
शम-ए-बज़्म-ए-अदब था वो कल तक मगर
आज 'लाग़र' चराग़-ए-सहर सा लगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Prakash Laghar
our suggestion based on Om Prakash Laghar
As you were reading Khushboo Shayari Shayari