haqeeqat ko ajab andaaz se jhuthlaaya jaata hai | हक़ीक़त को अजब अंदाज़ से झुठलाया जाता है

  - Om Prakash Laghar

haqeeqat ko ajab andaaz se jhuthlaaya jaata hai
zamaane ko khuda ke naam par behkaaya jaata hai

ta'alluq rehnuma ka muflis-o-naadaar se kaisa
unhen voton ki khaatir waqt par fuslaaya jaata hai

kahi meri sharaafat ko na kamzori samajh baithe
kabhi dushman ko bhi is vaaste dhamkaaya jaata hai

agarche har naye din ka naya andaaz hai lekin
kabhi afsaana-e-paareena bhi dohraaya jaata hai

agar jazbaat zakhmi hon to hoga fikr bhi zakhmi
yahi taarikh ke aoraq mein bhi paaya jaata hai

ye rutba har kisi ko koo-e-jaanaan mein nahin milta
koi mansoor ho to daar par latkaaya jaata hai

हक़ीक़त को अजब अंदाज़ से झुठलाया जाता है
ज़माने को ख़ुदा के नाम पर बहकाया जाता है

तअ'ल्लुक़ रहनुमा का मुफ़लिस-ओ-नादार से कैसा
उन्हें वोटों की ख़ातिर वक़्त पर फुस्लाया जाता है

कहीं मेरी शराफ़त को न कमज़ोरी समझ बैठे
कभी दुश्मन को भी इस वास्ते धमकाया जाता है

अगरचे हर नए दिन का नया अंदाज़ है लेकिन
कभी अफ़्साना-ए-पारीना भी दोहराया जाता है

अगर जज़्बात ज़ख़्मी हों तो होगा फ़िक्र भी ज़ख़्मी
यही तारीख़ के औराक़ में भी पाया जाता है

ये रुत्बा हर किसी को कू-ए-जानाँ में नहीं मिलता
कोई मंसूर हो तो दार पर लटकाया जाता है

  - Om Prakash Laghar

Jazbaat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Om Prakash Laghar

As you were reading Shayari by Om Prakash Laghar

Similar Writers

our suggestion based on Om Prakash Laghar

Similar Moods

As you were reading Jazbaat Shayari Shayari