kamaal-e-zauq-e-sajda is se badh kar aur kya hoga
wahin vo naqsh-e-paa ubhara jahaan rakh di jabeen main ne
main har ik ajnabi ko dekh kar mehsoos karta hoon
ki shaayad is ko dekha hai kabhi pehle kahi main ne
bashar ka hai bashar dushman ye kaisa daur hai yaaro
mohabbat ka chalan bilkul nahin dekha kahi main ne
meri ik muskuraahat par ye duniya kyun bigadti hai
ki muddat tak bahut aansu bahaaye hain yahin main ne
chaman mein har taraf zaag-o-zagan ka raaj hai laaghar
chaman mein qumri-o-bulbul nahin dekhi kahi main ne
कमाल-ए-ज़ौक़-ए-सज्दा इस से बढ़ कर और क्या होगा
वहीं वो नक़्श-ए-पा उभरा जहाँ रख दी जबीं मैं ने
मैं हर इक अजनबी को देख कर महसूस करता हूँ
कि शायद इस को देखा है कभी पहले कहीं मैं ने
बशर का है बशर दुश्मन ये कैसा दौर है यारो
मोहब्बत का चलन बिल्कुल नहीं देखा कहीं मैं ने
मिरी इक मुस्कुराहट पर ये दुनिया क्यों बिगड़ती है
कि मुद्दत तक बहुत आँसू बहाए हैं यहीं मैं ने
चमन में हर तरफ़ ज़ाग़-ओ-ज़ग़न का राज है 'लाग़र'
चमन में क़ुमरी-ओ-बुलबुल नहीं देखी कहीं मैं ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Prakash Laghar
our suggestion based on Om Prakash Laghar
As you were reading Environment Shayari Shayari