chaand mein hai koi pari shaayad
is liye hai ye chaandni shaayad
log us ko maseeha kahte the
vaise vo bhi tha aadmi shaayad
dil ka darwaaza khol rakha hai
yun hi aa jaayega koi shaayad
saans aati hai saans jaati hai
is ko kahte hain zindagi shaayad
aap ka zikr ho musalsal ho
bas yahi to hai shaay'ri shaayad
mere aansu tumhaari aankhon mein
ab bhi baaki hai dosti shaayad
चाँद में है कोई परी शायद
इस लिए है ये चाँदनी शायद
लोग उस को मसीहा कहते थे
वैसे वो भी था आदमी शायद
दिल का दरवाज़ा खोल रक्खा है
यूँ ही आ जाएगा कोई शायद
साँस आती है साँस जाती है
इस को कहते हैं ज़िंदगी शायद
आप का ज़िक्र हो मुसलसल हो
बस यही तो है शाइ'री शायद
मेरे आँसू तुम्हारी आँखों में
अब भी बाक़ी है दोस्ती शायद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pankaj Subeer
our suggestion based on Pankaj Subeer
As you were reading Aansoo Shayari Shayari