tumhaara gham na ho to zindagi achhi nahin lagti | तुम्हारा ग़म न हो तो ज़िंदगी अच्छी नहीं लगती

  - Pankaj Subeer

tumhaara gham na ho to zindagi achhi nahin lagti
khamoshi se bahe jo vo nadi achhi nahin lagti

pade ho ishq mein to ishq ki tahzeeb bhi seekho
kisi aashiq ke chehre par hasi achhi nahin lagti

ye man karta hai baadal aa ke dhak len chaand ko poora
hon jab vo paas to phir chaandni achhi nahin lagti

kaha us ne hamein kab vasl se inkaar hai lekin
khalish seene mein us ke ba'ad ki achhi nahin lagti

ajab hai baat hairat ki hamaari shakl ye un ko
kabhi lagti hai achhi aur kabhi achhi nahin lagti

likhi hain saari ghazlein bas usi ke vaaste main ne
wahi haan vo hi jis ko shaay'ri achhi nahin lagti

तुम्हारा ग़म न हो तो ज़िंदगी अच्छी नहीं लगती
ख़मोशी से बहे जो वो नदी अच्छी नहीं लगती

पड़े हो इश्क़ में तो इश्क़ की तहज़ीब भी सीखो
किसी आशिक़ के चेहरे पर हँसी अच्छी नहीं लगती

ये मन करता है बादल आ के ढक लें चाँद को पूरा
हों जब वो पास तो फिर चाँदनी अच्छी नहीं लगती

कहा उस ने हमें कब वस्ल से इंकार है लेकिन
ख़लिश सीने में उस के बा'द की अच्छी नहीं लगती

अजब है बात हैरत की हमारी शक्ल ये उन को
कभी लगती है अच्छी और कभी अच्छी नहीं लगती

लिखी हैं सारी ग़ज़लें बस उसी के वास्ते मैं ने
वही हाँ वो ही जिस को शाइ'री अच्छी नहीं लगती

  - Pankaj Subeer

Bahana Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Pankaj Subeer

As you were reading Shayari by Pankaj Subeer

Similar Writers

our suggestion based on Pankaj Subeer

Similar Moods

As you were reading Bahana Shayari Shayari