safar mein dhoop hai to saayebaan bhi hoga | सफ़र में धूप है तो साएबान भी होगा

  - Parveen Kumar Ashk

safar mein dhoop hai to saayebaan bhi hoga
zameen hogi jahaan aasmaan bhi hoga

khabar kahaan thi ki ye rooh ek masjid hai
siyah vujood mein noor-e-azaan bhi hoga

tire badan pe ye boodha safed sar kaisa
jadeed bacche bata kya jawaan bhi hoga

meri pasand ke afraad jis mein rahte hain
zameen pe aisa koi khaandaan bhi hoga

suna hai shehr-e-khamaoshaan mein aa gaya hoon main
yahin kahi koi mera makaan bhi hoga

vo mujh se bichhda main ro-dho ke ashk bhool gaya
pata nahin tha ki dil par nishaan bhi hoga

सफ़र में धूप है तो साएबान भी होगा
ज़मीन होगी जहाँ आसमान भी होगा

ख़बर कहाँ थी कि ये रूह एक मस्जिद है
सियह वजूद में नूर-ए-अज़ान भी होगा

तिरे बदन पे ये बूढ़ा सफ़ेद सर कैसा
जदीद बच्चे बता क्या जवान भी होगा

मिरी पसंद के अफ़राद जिस में रहते हैं
ज़मीं पे ऐसा कोई ख़ानदान भी होगा

सुना है शहर-ए-ख़मोशाँ में आ गया हूँ मैं
यहीं कहीं कोई मेरा मकान भी होगा

वो मुझ से बिछड़ा मैं रो-धो के 'अश्क' भूल गया
पता नहीं था कि दिल पर निशान भी होगा

  - Parveen Kumar Ashk

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Kumar Ashk

As you were reading Shayari by Parveen Kumar Ashk

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Kumar Ashk

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari