samundar aankh se ojhal zara nahin hota | समुंदर आँख से ओझल ज़रा नहीं होता

  - Parveen Kumar Ashk

samundar aankh se ojhal zara nahin hota
nadi ko dar kisi chattan ka nahin hota

vo jab bhi rota hai main saath saath rota hoon
maze ki baat hai us ko pata nahin hota

musafiron ke liye manzilen hi hoti hain
musafiron ke liye raasta nahin hota

tamaasha-gaah mein kis ka tamasha hota hai
tamaash-beeno ko us ka pata nahin hota

main roz phone par us ko sadaaein deta hoon
khuda ke saath mera raabta nahin hota

jahaan milen unhen sajda guzaariye sahab
mohabbaton ke liye sochna nahin hota

wahan charaagh jalata hoon zindagi ka ashk
jahaan hawa ke liye raasta nahin hota

समुंदर आँख से ओझल ज़रा नहीं होता
नदी को डर किसी चट्टान का नहीं होता

वो जब भी रोता है मैं साथ साथ रोता हूँ
मज़े की बात है उस को पता नहीं होता

मुसाफ़िरों के लिए मंज़िलें ही होती हैं
मुसाफ़िरों के लिए रास्ता नहीं होता

तमाशा-गाह में किस का तमाशा होता है
तमाश-बीनों को उस का पता नहीं होता

मैं रोज़ फ़ोन पर उस को सदाएँ देता हूँ
ख़ुदा के साथ मिरा राब्ता नहीं होता

जहाँ मिलें उन्हें सज्दा गुज़ारिए साहब
मोहब्बतों के लिए सोचना नहीं होता

वहाँ चराग़ जलाता हूँ ज़िंदगी का 'अश्क'
जहाँ हवा के लिए रास्ता नहीं होता

  - Parveen Kumar Ashk

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Kumar Ashk

As you were reading Shayari by Parveen Kumar Ashk

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Kumar Ashk

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari