paraadheen bharat mein bhagatsingh | "पराधीन भारत में भगतसिंह" - Piyush Mishra

paraadheen bharat mein bhagatsingh

aabohava zahar hai
chaaron taraf qahar hai
aalam nahin hai aisa
ki ishq kar sakoon main
main tujh pe mar to jaata
par kya karoon meri jaan
haalaat aise na hain
ki tujh pe mar sakoon main
ye khoon bheegi holi
ye sar kati baisakhi
aise mein teri chunri
kya soongh paaoonga main
ye maang ujda teeka
ye sunn baithi mamta
aise mein tere kangan
kya choom paaoonga main
eesa ki le gawaahi
gautam ki le gawaahi
hazrat kabeer naanak
ke man ki le gawaahi
meera qasam hai mujhko
radha qasam hai mujhko
hai doosra janam to
lena janam hai mujhko
us doosre janam mein
sindoor laaunga main
teri qasam ki dola
tera uthaaunga main

"पराधीन भारत में भगतसिंह"

आबोहवा ज़हर है
चारों तरफ़ क़हर है
आलम नहीं है ऐसा
कि इश्क़ कर सकूँ मैं
मैं तुझ पे मर तो जाता
पर क्या करूँ मेरी जाँ
हालात ऐसे ना हैं
कि तुझ पे मर सकूँ मैं
ये ख़ून भीगी होली
ये सर कटी बैसाखी
ऐसे में तेरी चुनरी
क्या सूँघ पाऊँगा मैं?
ये माँग उजड़ा टीका
ये सुन्न बैठी ममता
ऐसे में तेरे कंगन
क्या चूम पाऊँगा मैं
ईसा की ले गवाही
गौतम की ले गवाही
हज़रत कबीर नानक
के मन की ले गवाही
मीरा क़सम है मुझको
राधा क़सम है मुझको
है दूसरा जनम तो
लेना जनम है मुझको
उस दूसरे जनम में
सिंदूर लाऊँगा मैं
तेरी क़सम कि डोला
तेरा उठाऊँगा मैं

- Piyush Mishra
1 Like

Hindustan Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Piyush Mishra

Similar Moods

As you were reading Hindustan Shayari Shayari