aa gai fasl-e-nau-bahaar dasht mein vo hawa chali | आ गई फ़स्ल-ए-नौ-बहार दश्त में वो हवा चली

  - Qadr Bilgrami

aa gai fasl-e-nau-bahaar dasht mein vo hawa chali
sar pe hua junoon sawaar aql piyaada-paa chali

baagh se jab hawa chali may-kade se ghatta chali
dil ki kali khila chali dil ki lagi bujha chali

tu ne na aa ke deed ki baith ke ghar mein eed ki
laash tire shaheed ki jaanib-e-karbala chali

waah re daura-e-sharaab khaan-qehen hui kharab
jhoom rahe hain shaikh-o-shaab ab ki ajab hawa chali

shor utha jo aah ka sabr-o-qaraar ud chala
qafile mein baja dira hone lagi chala-chali

saaqi-o-rind-e-baada-kash aur pukaare al-atash
aate hain sab ko ghash pe ghash aaj sharaab kya chali

qadr ye fauj jab chadhi tootegi qalb ki ghadi
naaz badha ada badhi ghamza chala haya chali

आ गई फ़स्ल-ए-नौ-बहार दश्त में वो हवा चली
सर पे हुआ जुनूँ सवार अक़्ल पियादा-पा चली

बाग़ से जब हवा चली मय-कदे से घटा चली
दिल की कली खिला चली दिल की लगी बुझा चली

तू ने न आ के दीद की बैठ के घर में ईद की
लाश तिरे शहीद की जानिब-ए-कर्बला चली

वाह रे दौरा-ए-शराब ख़ान-क़हें हुईं ख़राब
झूम रहे हैं शैख़-ओ-शाब अब की अजब हवा चली

शोर उठा जो आह का सब्र-ओ-क़रार उड़ चला
क़ाफ़िले में बजा दिरा होने लगी चला-चली

साक़ी-ओ-रिन्द-ए-बादा-कश और पुकारें अल-अतश
आते हैं सब को ग़श पे ग़श आज शराब क्या चली

'क़द्र' ये फ़ौज जब चढ़ी टूटेगी क़ल्ब की घड़ी
नाज़ बढ़ा अदा बढ़ी ग़म्ज़ा चला हया चली

  - Qadr Bilgrami

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadr Bilgrami

As you were reading Shayari by Qadr Bilgrami

Similar Writers

our suggestion based on Qadr Bilgrami

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari