hui hai ham mein aur is gul mein kya kya maar phoolon ki | हुई है हम में और इस गुल में क्या क्या मार फूलों की

  - Qadr Bilgrami

hui hai ham mein aur is gul mein kya kya maar phoolon ki
gale tak uth gai gulzaar mein deewaar phoolon ki

bahaar aayi hai gulshan ne qaba-e-sabz badli hai
jawaanaan-e-chaman ke sar pe hai dastaar phoolon ki

chaman mein aaj-kal us zor se paani barsta hai
hui hai bulbulon par har taraf bauchaar phoolon ki

bike hain kaudiyon ke mol da'wa kar ke us gul se
gai hai aabroo kya kya sar-e-bazaar phoolon ki

rasai qadr ki kyun kar na ho is bazm-e-rangeen mein
chaman mein rakhte hain sohbat hamesha khaar phoolon ki

हुई है हम में और इस गुल में क्या क्या मार फूलों की
गले तक उठ गई गुलज़ार में दीवार फूलों की

बहार आई है गुलशन ने क़बा-ए-सब्ज़ बदली है
जवानान-ए-चमन के सर पे है दस्तार फूलों की

चमन में आज-कल उस ज़ोर से पानी बरसता है
हुई है बुलबुलों पर हर तरफ़ बौछार फूलों की

बिके हैं कौड़ियों के मोल दा'वा कर के उस गुल से
गई है आबरू क्या क्या सर-ए-बाज़ार फूलों की

रसाई 'क़द्र' की क्यूँ कर न हो इस बज़्म-ए-रंगीं में
चमन में रखते हैं सोहबत हमेशा ख़ार फूलों की

  - Qadr Bilgrami

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadr Bilgrami

As you were reading Shayari by Qadr Bilgrami

Similar Writers

our suggestion based on Qadr Bilgrami

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari