jo uzv-e-baatin khuda banata to ham dil-e-be-qaraar hote
jo uzv-e-zaahir khuda banata to deeda-e-ashk-baar hote
jo gard kar ke khuda udaata to udte gard-e-malaal ho kar
jo sang kar ke khuda jamaata to jam ke lauh-e-mazaar hote
khuda jo shaana hamein banata to ham khalish hote apne dil ki
khuda jo aaina ham ko karta to apne hairaan-kaar hote
jo roz ham ko khuda banata to bante roz-e-firaq-e-jaanaan
jo raat ham ko khuda banata to ham shab-e-intizaar hote
garz ki aisa museebaton ka hamaare dil ko maza pada hai
ki qadr ham ko khuda banata to ho ke be-qadr khwaar hote
जो उज़्व-ए-बातिन ख़ुदा बनाता तो हम दिल-ए-बे-क़रार होते
जो उज़्व-ए-ज़ाहिर ख़ुदा बनाता तो दीदा-ए-अश्क-बार होते
जो गर्द कर के ख़ुदा उड़ाता तो उड़ते गर्द-ए-मलाल हो कर
जो संग कर के ख़ुदा जमाता तो जम के लौह-ए-मज़ार होते
ख़ुदा जो शाना हमें बनाता तो हम ख़लिश होते अपने दिल की
ख़ुदा जो आईना हम को करता तो अपने हैरान-कार होते
जो रोज़ हम को ख़ुदा बनाता तो बनते रोज़-ए-फ़िराक़-ए-जानाँ
जो रात हम को ख़ुदा बनाता तो हम शब-ए-इंतिज़ार होते
ग़रज़ कि ऐसा मुसीबतों का हमारे दिल को मज़ा पड़ा है
कि 'क़द्र' हम को ख़ुदा बनाता तो हो के बे-क़द्र ख़्वार होते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qadr Bilgrami
our suggestion based on Qadr Bilgrami
As you were reading Masti Shayari Shayari