jo daagh hai ishq-e-dil-nasheen ka jo dil-nasheen hain dil-e-hazeen ka
wahi hai tamgha meri jabeen ka wahi sulaimaan mere nageen ka
gai na mar kar bhi keena-khwaahi mila ke mitti mein ki tabaahi
meri tarah se kahi ilaahi falak bhi paivand ho zameen ka
tadap na poocho dil-e-hazeen ki kahoon main tum se kahaan kahaan ki
usi se hai gardish aasmaan ki usi se hai zalzala zameen ka
jahaan sar par utha raha hoon junoon mein dhoomen macha raha hoon
jo dasht mein khaak uda raha hoon dimaagh gurdon pe hai zameen ka
karam mein ham ko gazab mein ham ko kiya jo mumtaaz sab mein ham ko
tumhaari dushnaam-o-lab mein ham ko maza mila zahar-o-angbeen ka
ye laagri ab hai khaar-e-daaman ki uth nahin saka baar-e-daaman
jo paanv apna hai taar-e-daaman to haath hai taar aasteen ka
miyaan-e-mahshar malaalaton se main sham'a hoon dil ki haalaton se
ki paanv tak sau khijaalaton se arq baha hai meri jabeen ka
sukhun ko qadr auj de zabaan se ki tukhm-e-afshaan ho la-makaan se
kiya hai naasikh ne aasmaan se buland-tar rutba is zameen ka
जो दाग़ है इश्क़-ए-दिल-नशीं का जो दिल-नशीं हैं दिल-ए-हज़ीं का
वही है तमग़ा मिरी जबीं का वही सुलैमाँ मिरे नगीं का
गई न मर कर भी कीना-ख़्वाही मिला के मिट्टी में की तबाही
मिरी तरह से कहीं इलाही फ़लक भी पैवंद हो ज़मीं का
तड़प न पूछो दिल-ए-हज़ीं की कहूँ मैं तुम से कहाँ कहाँ की
उसी से है गर्दिश आसमाँ की उसी से है ज़लज़ला ज़मीं का
जहान सर पर उठा रहा हूँ जुनूँ में धूमें मचा रहा हूँ
जो दश्त में ख़ाक उड़ा रहा हूँ दिमाग़ गुर्दों पे है ज़मीं का
करम में हम को ग़ज़ब में हम को किया जो मुम्ताज़ सब में हम को
तुम्हारी दुश्नाम-ओ-लब में हम को मज़ा मिला ज़हर-ओ-अंग्बीं का
ये लाग़री अब है ख़ार-ए-दामन कि उठ नहीं सकता बार-ए-दामन
जो पाँव अपना है तार-ए-दामन तो हाथ है तार आस्तीं का
मियान-ए-महशर मलालतों से मैं शम्अ' हूँ दिल की हालतों से
कि पाँव तक सौ ख़िजालतों से अरक़ बहा है मिरी जबीं का
सुख़न को 'क़द्र' औज दे ज़बाँ से कि तुख़्म-ए-अफ़्शाँ हो ला-मकाँ से
किया है 'नासिख़' ने आसमाँ से बुलंद-तर रुत्बा इस ज़मीं का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qadr Bilgrami
our suggestion based on Qadr Bilgrami
As you were reading Dil Shayari Shayari