pad gai aap par nazar hi to hai
ik khata ho gai bashar hi to hai
itna bhari na daaliye moobaaf
bal na khaaye kahi kamar hi to hai
meri aahon se un ke dil mein asar
kabhi yun bhi ude khabar hi to hai
paanv failaaye ham ne marqad mein
chalte chalte thake safar hi to hai
qadr ne kya zabaan paai hai
log kahte hain ye sehar hi to hai
पड़ गई आप पर नज़र ही तो है
इक ख़ता हो गई बशर ही तो है
इतना भारी न डालिए मूबाफ़
बल न खाए कहीं कमर ही तो है
मेरी आहों से उन के दिल में असर
कभी यूँ भी उड़े ख़बर ही तो है
पाँव फैलाए हम ने मरक़द में
चलते चलते थके सफ़र ही तो है
'क़द्र' ने क्या ज़बान पाई है
लोग कहते हैं ये सहर ही तो है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qadr Bilgrami
our suggestion based on Qadr Bilgrami
As you were reading Aadmi Shayari Shayari