shab-e-gham mein chhaai ghatta kaali kaali | शब-ए-ग़म में छाई घटा काली काली

  - Qadr Bilgrami

shab-e-gham mein chhaai ghatta kaali kaali
jhuki hai bala par bala kaali kaali

bahut aise kaale hiran ham ne dekhe
dikhaate hain aankhen vo kya kaali kaali

date mil ke rind-e-siyah-mast jis dam
jhuki may-kade par ghatta kaali kaali

shab-e-maah mein vo phire baal khole
hui chaandni jaa-b-jaa kaali kaali

ye sajde ko khud jhuk padegi chaman par
ki qible se utthi ghatta kaali kaali

khuli sab par aakhir tiri garm-dasti
hui khholte hi hina ka kaali kaali

lundha de may-e-surkh tu ab to saaqi
ghatta utthi hai dekh kya kaali kaali

mere kaa'ba-e-dil ke mitne ka gham hai
jo odhe hai kaaba saba kaali kaali

hue hain siyah-bakht barbaad laakhon
uthiin aandhiyaan baarha kaali kaali

bukharat dil-e-aah par chha gaye hain
ghatta hai baru-e-hawaa kaali kaali

main dekhoonga munh un ka de kar ye fiqra
tiri shakl hai mahlaqa kaali kaali

siyah naama-e-'qadr mahshar mein nikla
uthi dhoop mein ik ghatta kaali kaali

शब-ए-ग़म में छाई घटा काली काली
झुकी है बला पर बला काली काली

बहुत ऐसे काले हिरन हम ने देखे
दिखाते हैं आँखें वो क्या काली काली

डटे मिल के रिंद-ए-सियह-मस्त जिस दम
झुकी मय-कदे पर घटा काली काली

शब-ए-माह में वो फिरे बाल खोले
हुई चाँदनी जा-ब-जा काली काली

ये सज्दे को ख़ुद झुक पड़ेगी चमन पर
कि क़िबले से उट्ठी घटा काली काली

खुली सब पर आख़िर तिरी गर्म-दस्ती
हुई खोलते ही हिना का काली काली

लुंढा दे मय-ए-सुर्ख़ तू अब तो साक़ी
घटा उट्ठी है देख क्या काली काली

मिरे का'बा-ए-दिल के मिटने का ग़म है
जो ओढ़े है काबा सबा काली काली

हुए हैं सियह-बख़्त बरबाद लाखों
उठीं आँधियाँ बारहा काली काली

बुख़ारात दिल-ए-आह पर छा गए हैं
घटा है बरु-ए-हवा काली काली

मैं देखूँगा मुँह उन का दे कर ये फ़िक़रा
तिरी शक्ल है मह-लक़ा काली काली

सियह नामा-ए-'क़द्र' महशर में निकला
उठी धूप में इक घटा काली काली

  - Qadr Bilgrami

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadr Bilgrami

As you were reading Shayari by Qadr Bilgrami

Similar Writers

our suggestion based on Qadr Bilgrami

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari