munkir hote hain hunar waale | मुंकिर होते हैं हुनर वाले

  - Qadr Bilgrami

munkir hote hain hunar waale
nakhl jhuk jaate hain samar waale

ham ne ghura to hans ke farmaaya
achhe aaye buri nazar waale

mehndi mal kar vo shokh kehta hai
senk len aankhen chashm-e-tar waale

hai salaamat jo sang-e-dar un ka
saikron mujh se dard-e-sar waale

qadr kya apne paas dil ke siva
uddein par waale phoolen zar waale

मुंकिर होते हैं हुनर वाले
नख़्ल झुक जाते हैं समर वाले

हम ने घूरा तो हँस के फ़रमाया
अच्छे आए बुरी नज़र वाले

मेंहदी मल कर वो शोख़ कहता है
सेंक लें आँखें चश्म-ए-तर वाले

है सलामत जो संग-ए-दर उन का
सैकड़ों मुझ से दर्द-ए-सर वाले

'क़द्र' क्या अपने पास दिल के सिवा
उड़ें पर वाले फूलें ज़र वाले

  - Qadr Bilgrami

Attitude Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadr Bilgrami

As you were reading Shayari by Qadr Bilgrami

Similar Writers

our suggestion based on Qadr Bilgrami

Similar Moods

As you were reading Attitude Shayari Shayari