jab zara nagmon se bulbul gul-fishaan ho jaayega | जब ज़रा नग़्मों से बुलबुल गुल-फ़िशाँ हो जाएगा

  - Qadr Bilgrami

jab zara nagmon se bulbul gul-fishaan ho jaayega
tokri phoolon ki saara aashiyaan ho jaayega

jab uthega josh-e-may ban jaayega vo aftaab
jab udega khum ka sar-posh aasmaan ho jaayega

jism-o-jaan ka faisla saara usi ke haath hai
paanv teri teg ka khud darmiyaan ho jaayega

mojiz-e-shaqqul-qamar dikhlaayegi angusht-e-husn
chaand tere paratve se khud kataan ho jaayega

rind haan ammaama-e-zaahid pe hoon hath-feriyaan
kashti-e-may ka ik achha baadbaan ho jaayega

sar pe chan chan kar balaaen aayengi khaamosh qadr
aah kheenchoge to chhalni aasmaan ho jaayega

जब ज़रा नग़्मों से बुलबुल गुल-फ़िशाँ हो जाएगा
टोकरी फूलों की सारा आशियाँ हो जाएगा

जब उठेगा जोश-ए-मय बन जाएगा वो आफ़्ताब
जब उड़ेगा ख़ुम का सर-पोश आसमाँ हो जाएगा

जिस्म-ओ-जाँ का फ़ैसला सारा उसी के हाथ है
पाँव तेरी तेग़ का ख़ुद दरमियाँ हो जाएगा

मोजिज़-ए-शक़्क़ुल-क़मर दिखलाएगी अंगुश्त-ए-हुस्न
चाँद तेरे परतवे से ख़ुद कताँ हो जाएगा

रिंद हाँ अम्मामा-ए-ज़ाहिद पे हूँ हथ-फेरीयाँ
कश्ती-ए-मय का इक अच्छा बादबाँ हो जाएगा

सर पे छन छन कर बलाएँ आएँगी ख़ामोश 'क़द्र'
आह ख़ींचोगे तो छलनी आसमाँ हो जाएगा

  - Qadr Bilgrami

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadr Bilgrami

As you were reading Shayari by Qadr Bilgrami

Similar Writers

our suggestion based on Qadr Bilgrami

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari