gunche chatk gaye chaman-e-rozgaar ke
phoote habaab mauj-e-naseem-e-bahaar ke
rizwan jo tokega dar-e-firdos par hamein
kah denge rahne waale hain ham ku-e-yaar ke
aankhen taras rahi hain meri teri zulf ko
taare chamak rahe hain shab-e-intizaar ke
aaghaaz mein bhi ham ko hai anjaam ka khayal
dhadhke shabaab mein bhi hain roz-e-shumaar ke
mazmoon hain hiran meri bandish kamand hai
ai qadr shaay'ri mein maze hain shikaar ke
ग़ुंचे चटक गए चमन-ए-रोज़गार के
फूटे हबाब मौज-ए-नसीम-ए-बहार के
रिज़वाँ जो टोकेगा दर-ए-फ़िर्दोस पर हमें
कह देंगे रहने वाले हैं हम कू-ए-यार के
आँखें तरस रही हैं मिरी तेरी ज़ुल्फ़ को
तारे चमक रहे हैं शब-ए-इंतिज़ार के
आग़ाज़ में भी हम को है अंजाम का ख़याल
धड़के शबाब में भी हैं रोज़-ए-शुमार के
मज़मून हैं हिरन मिरी बंदिश कमंद है
ऐ 'क़द्र' शाइ'री में मज़े हैं शिकार के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qadr Bilgrami
our suggestion based on Qadr Bilgrami
As you were reading Bijli Shayari Shayari