tum khwaab mein aaoge ye maaloom nahin tha | तुम ख़्वाब में आओगे ये मालूम नहीं था

  - Qaisar Siddiqi

tum khwaab mein aaoge ye maaloom nahin tha
phir khwaab dikhaaoge ye maaloom nahin tha

tum kaabe ko dhaaoge ye maaloom nahin tha
dil tod ke jaaoge ye maaloom nahin tha

jis khat mein tanke the mere ashkon ke sitaare
vo khat bhi jalaaoge ye maaloom nahin tha

kuchh aks mere aaina-khaane se chura kar
mujh ko hi dikhaaoge ye maaloom nahin tha

qad mera ghataaoge mujhe is ki khabar thi
saaye ko badhaaoge ye maaloom nahin tha

ye to mujhe maaloom tha tum jaaoge lekin
is tarah se jaaoge ye maaloom nahin tha

ik lamhe ki aawaara-nigaahi ke sahaare
dil mein utar aaoge ye maaloom nahin tha

tum holi bhi kheloge mere dil ke lahu se
daaman bhi bachaoge ye maaloom nahin tha

hairat mein hain ahbaab ki is umr mein qaisar
yun dhoom machaoge ye maaloom nahin tha

तुम ख़्वाब में आओगे ये मालूम नहीं था
फिर ख़्वाब दिखाओगे ये मालूम नहीं था

तुम काबे को ढाओगे ये मालूम नहीं था
दिल तोड़ के जाओगे ये मालूम नहीं था

जिस ख़त में टंके थे मिरे अश्कों के सितारे
वो ख़त भी जलाओगे ये मालूम नहीं था

कुछ अक्स मिरे आईना-ख़ाने से चुरा कर
मुझ को ही दिखाओगे ये मालूम नहीं था

क़द मेरा घटाओगे मुझे इस की ख़बर थी
साए को बढ़ाओगे ये मालूम नहीं था

ये तो मुझे मालूम था तुम जाओगे लेकिन
इस तरह से जाओगे ये मालूम नहीं था

इक लम्हे की आवारा-निगाही के सहारे
दिल में उतर आओगे ये मालूम नहीं था

तुम होली भी खेलोगे मिरे दिल के लहू से
दामन भी बचाओगे ये मालूम नहीं था

हैरत में हैं अहबाब कि इस उम्र में क़ैसर
यूँ धूम मचाओगे ये मालूम नहीं था

  - Qaisar Siddiqi

Tasweer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qaisar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Tasweer Shayari Shayari