meri zulfen nahin kaali ghatta hain | मिरी ज़ुल्फ़ें नहीं काली घटा हैं

  - Qaisar Ziya Qaisar

meri zulfen nahin kaali ghatta hain
meri peshaani hai mahtaab jaisi
meri aankhen kanwal ki pankhudi hain
mere lab hain gulaabon se mushaabah
mere gaalon mein hai laali shafaq ki
meri gardan suraahi-daar dekho
meri baahen hain misl-e-shaakh-e-sandal
badan mera hai laala-zaar dekho
adaaon mein meri jaadugari hai
meri hasti mukammal shaay'ri hai
havas ke maaro mein bazaar mein hoon
gul-e-tar hoon p nok-e-khaar mein hoon
mere husn-o-jawaani ke munaasib
lagaav daam aur mujh ko khareedo
ki har soorat ada karna hai mujh ko
kisi biwi ki laachaari ka qarza
kisi shauhar ki beemaari ka qarza

मिरी ज़ुल्फ़ें नहीं काली घटा हैं
मिरी पेशानी है महताब जैसी
मिरी आँखें कँवल की पंखुड़ी हैं
मिरे लब हैं गुलाबों से मुशाबह
मिरे गालों में है लाली शफ़क़ की
मिरी गर्दन सुराही-दार देखो
मिरी बाहें हैं मिस्ल-ए-शाख़-ए-संदल
बदन मेरा है लाला-ज़ार देखो
अदाओं में मिरी जादूगरी है
मिरी हस्ती मुकम्मल शाइ'री है
हवस के मारो में बाज़ार में हूँ
गुल-ए-तर हूँ प नोक-ए-ख़ार में हूँ
मिरे हुस्न-ओ-जवानी के मुनासिब
लगाव दाम और मुझ को ख़रीदो
कि हर सूरत अदा करना है मुझ को
किसी बीवी की लाचारी का क़र्ज़ा
किसी शौहर की बीमारी का क़र्ज़ा

  - Qaisar Ziya Qaisar

Bimar Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Ziya Qaisar

Similar Moods

As you were reading Bimar Shayari Shayari