main us ko takta rehta hoon
jo farukh-zaad ki ghazalon
ki soorat khoobsurat hai
ki jis ke phool se tan ko
kisi rangeen titli ke
raseele mo'tabar honton
ke boson ki zaroorat hai
vo ik shehkaar hai shaayad
khuda-e-paak ke fan ka
ki jis ki saadgi mein bhi
hai raksaan husn ka jaadu
kamar seena ho gardan ho
ki us ke dast aur baazu
taraashein sab ki aisi hain
ki jaise laal ke chaakoo
jabeen par maah ka jalwa
aur us par abr ke gesu
sulagte gore gaalon par
shafaq ke ghaaze ki khushboo
gulaabon se fadakte lab
aur us par pyaas be-qaboo
hain nargis ki tarah us ki
chamakti jheel si aankhen
magar be-noor hain aisi
ki jaise tang ghaaron ki
siyah palkon pe thehre hon
andheri raat ke aansu
ye manzar rooh par meri
pighalte sheeshon ki soorat
muqattar hota rehta hai
ki jis ki sozishon mein main
tadpata cheekhta rehta
hoon subh-o-shaam har ik pal
ki meri dhadkano saanson
ko chahe munjamid kar do
magar is khoob-roo duniya
ke tareek aasmaanon ko
meri aankhon ke taaron se
jahaan tak ho sake bhar do
ye sun kar qasr ke saare
dar-o-deewar par toofaan
sa barpa hone lagta hai
ki ai naadaan shehzaade
tu aisa kar nahin saka
junoon ki ujadi maango mein
tu afshaan bhar nahin saka
tiri dhadkan tiri saansen
tiri khwaabon se pur aankhen
tire ajdaad ke suraj
ki kirnon ki amaanat hain
jo shaahi takht par raushan
charaagon ki zamaanat hain
मैं उस को तकता रहता हूँ
जो फ़र्रुख़-ज़ाद की ग़ज़लों
की सूरत ख़ूबसूरत है
कि जिस के फूल से तन को
किसी रंगीन तितली के
रसीले मो'तबर होंटों
के बोसों की ज़रूरत है
वो इक शहकार है शायद
ख़ुदा-ए-पाक के फ़न का
कि जिस की सादगी में भी
है रक़्साँ हुस्न का जादू
कमर सीना हो गर्दन हो
कि उस के दस्त और बाज़ू
तराशें सब की ऐसी हैं
कि जैसे ला'ल के चाक़ू
जबीं पर माह का जल्वा
और उस पर अब्र के गेसू
सुलगते गोरे गालों पर
शफ़क़ के ग़ाज़े की ख़ुश्बू
गुलाबों से फड़कते लब
और उस पर प्यास बे-क़ाबू
हैं नर्गिस की तरह उस की
चमकती झील सी आँखें
मगर बे-नूर हैं ऐसी
कि जैसे तंग ग़ारों की
सियह पलकों पे ठहरे हों
अँधेरी रात के आँसू
ये मंज़र रूह पर मेरी
पिघलते शीशों की सूरत
मुक़त्तर होता रहता है
कि जिस की सोज़िशों में मैं
तड़पता चीख़ता रहता
हूँ सुब्ह-ओ-शाम हर इक पल
कि मेरी धड़कनों साँसों
को चाहे मुंजमिद कर दो
मगर इस ख़ूब-रू दुनिया
के तारीक आसमानों को
मिरी आँखों के तारों से
जहाँ तक हो सके भर दो
ये सुन कर क़स्र के सारे
दर-ओ-दीवार पर तूफ़ाँ
सा बरपा होने लगता है
कि ऐ नादान शहज़ादे
तू ऐसा कर नहीं सकता
जुनूँ की उजड़ी मांगों में
तू अफ़्शाँ भर नहीं सकता
तिरी धड़कन तिरी साँसें
तिरी ख़्वाबों से पुर आँखें
तिरे अज्दाद के सूरज
की किरनों की अमानत हैं
जो शाही तख़्त पर रौशन
चराग़ों की ज़मानत हैं
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Qaisar Ziya Qaisar
As you were reading Kamar Shayari Shayari