waqt-e-rukhsat meri maa ne mera maatha chooma
manzilon ne tabhi badh kar mera talwa chooma
di mu'azzin ko dava neend ki aur phir kal shab
ham ne jee bhar ke tumhein khwaab mein dekha chooma
jis tarah qeemti shay ko koi muflis dekhe
aankhon aankhon mein use ham ne saraaha chooma
ham ne socha tha ki sairaabi mayassar hogi
tishnagi aur badhi hai use jitna chooma
ek misre mein suno vasl ka poora qissa
az ishaa-taa-b-sehar yaar ko chooma chooma
is tariqe se nahin pyaar jataaya mujh se
jis tariqe se hai us ne mera baccha chooma
ye badan dasht se gulshan hua aakhir kaise
aankh choomi hai kisi ki ki hai dariya chooma
meri aankhon ke ujaalon ka sabab hai itna
naam sunte hi mohammad ka angootha chooma
theek hone na diya zakham-e-mohabbat aasi
ham ne ta-umr ise dil se lagaaya chooma
वक़्त-ए-रुख़्सत मिरी माँ ने मिरा माथा चूमा
मंज़िलों ने तभी बढ़ कर मिरा तलवा चूमा
दी मुअज़्ज़िन को दवा नींद की और फिर कल शब
हम ने जी भर के तुम्हें ख़्वाब में देखा चूमा
जिस तरह क़ीमती शय को कोई मुफ़्लिस देखे
आँखों आँखों में उसे हम ने सराहा चूमा
हम ने सोचा था कि सैराबी मयस्सर होगी
तिश्नगी और बढ़ी है उसे जितना चूमा
एक मिसरे में सुनो वस्ल का पूरा क़िस्सा
अज़ इशा-ता-ब-सहर यार को चूमा चूमा
इस तरीक़े से नहीं प्यार जताया मुझ से
जिस तरीक़े से है उस ने मिरा बच्चा चूमा
ये बदन दश्त से गुलशन हुआ आख़िर कैसे
आँख चूमी है किसी की कि है दरिया चूमा
मेरी आँखों के उजालों का सबब है इतना
नाम सुनते ही मोहम्मद का अँगूठा चूमा
ठीक होने न दिया ज़ख़्म-ए-मोहब्बत 'आसी'
हम ने ता-उम्र इसे दिल से लगाया चूमा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Aasi
our suggestion based on Qamar Aasi
As you were reading Shama Shayari Shayari