main ne kuchh ashaar joohee aaine par dam kiye | मैं ने कुछ अशआ'र जूँही आइने पर दम किए

  - Qamar Aasi

main ne kuchh ashaar joohee aaine par dam kiye
aks tera la dikhaaya us ne sar ko kham kiye

ki sama'at ki tavaazo is madhur awaaz se
rizq-e-binaai usi paikar ke zer-o-bam kiye

muhr honton se lagaaee is zameen-e-husn par
apne qabze is zameen par aur mustahkam kiye

jaan daali tazkira-e-yaar se alfaaz mein
seedhe-saade she'r us ke zikr se mubham kiye

raat guzri makhmali haathon ke takie par meri
shukr hai maula mayassar tu ne ye resham kiye

subh-e-wasl us ki chahak se goonj utthe baam-o-dar
bolti thi pehle jo awaaz ko madhham kiye

bah raha tha lams ka dariya guzashta shab qamar
khoob ham ne bhi masaam-e-jism us se nam kiye

मैं ने कुछ अशआ'र जूँही आइने पर दम किए
अक्स तेरा ला दिखाया उस ने सर को ख़म किए

की समाअ'त की तवाज़ो' इस मधुर आवाज़ से
रिज़्क़-ए-बीनाई उसी पैकर के ज़ेर-ओ-बम किए

मुहर होंटों से लगाई इस ज़मीन-ए-हुस्न पर
अपने क़ब्ज़े इस ज़मीं पर और मुस्तहकम किए

जान डाली तज़्किरा-ए-यार से अल्फ़ाज़ में
सीधे-सादे शे'र उस के ज़िक्र से मुबहम किए

रात गुज़री मख़मली हाथों के तकिए पर मिरी
शुक्र है मौला मयस्सर तू ने ये रेशम किए

सुब्ह-ए-वस्ल उस की चहक से गूँज उट्ठे बाम-ओ-दर
बोलती थी पहले जो आवाज़ को मद्धम किए

बह रहा था लम्स का दरिया गुज़शता शब 'क़मर'
ख़ूब हम ने भी मसाम-ए-जिस्म उस से नम किए

  - Qamar Aasi

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Aasi

As you were reading Shayari by Qamar Aasi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Aasi

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari