kuchh aise chashm-e-tamanna ko aazmaaya gaya | कुछ ऐसे चश्म-ए-तमन्ना को आज़माया गया

  - Qamar Aasi

kuchh aise chashm-e-tamanna ko aazmaaya gaya
kisi bhi aks ko poora nahin dikhaaya gaya

daroon-e-khwaab dikha kar koi haseen paikar
hamaare honton ka masraf hamein sujhaaya gaya

adhoora chhod diya ishq is liye ham ne
hamein ye kaam mukammal nahin sikhaaya gaya

phir is ke baad uthenge faqat sar-e-mahshar
gar aaj bazm se un ki hamein uthaya gaya gaya

mataa'-e-millat-e-ghaflat-shi'aar looti gai
phir is ke baad use neend se jagaaya gaya

kabhi khuda kabhi duniya kabhi mohabbat ka
hamaare dil mein sada khauf hi bithaaya gaya

ajab moamala rakha zamaane waalon ne
jahaan qayaam tha laazim wahin giraaya gaya

darakht aaj bhi ham ko duaaein dete hain
ki jin se naam tumhaara nahin mitaaya gaya

vo aaj aayegi chat par saheliyon ke saath
qamar sitaaron ko laara ajab lagaaya gaya

कुछ ऐसे चश्म-ए-तमन्ना को आज़माया गया
किसी भी अक्स को पूरा नहीं दिखाया गया

दरून-ए-ख़्वाब दिखा कर कोई हसीं पैकर
हमारे होंटों का मसरफ़ हमें सुझाया गया

अधूरा छोड़ दिया इश्क़ इस लिए हम ने
हमें ये काम मुकम्मल नहीं सिखाया गया

फिर इस के बाद उठेंगे फ़क़त सर-ए-महशर
गर आज बज़्म से उन की हमें उठाया गया गया

मताअ'-ए-मिल्लत-ए-ग़फ़लत-शिआ'र लूटी गई
फिर इस के बाद उसे नींद से जगाया गया

कभी ख़ुदा कभी दुनिया कभी मोहब्बत का
हमारे दिल में सदा ख़ौफ़ ही बिठाया गया

अजब मोआमला रक्खा ज़माने वालों ने
जहाँ क़याम था लाज़िम वहीं गिराया गया

दरख़्त आज भी हम को दुआएँ देते हैं
कि जिन से नाम तुम्हारा नहीं मिटाया गया

वो आज आएगी छत पर सहेलियों के साथ
'क़मर' सितारों को लारा अजब लगाया गया

  - Qamar Aasi

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Aasi

As you were reading Shayari by Qamar Aasi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Aasi

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari