dushman se ittihaad ke chakkar mein pad gaya
har dost ab mafaad ke chakkar mein pad gaya
thodi jagah mili jo kisi kaakh-e-husn mein
dil saari jaaidaad ke chakkar mein pad gaya
karta raha gurez jo ik umr vasl se
ab lams ke swaad ke chakkar mein pad gaya
ik husn-e-shaandaar pe kaamil ghazal ke baad
sha'ir naye mawaad ke chakkar mein pad gaya
yaksaaniyat chhalakne lagi us ke she'r se
jo shakhs infiraad ke chakkar mein pad gaya
patti ta'assubaat ki baandhi jo gair ne
apnon se hi jihaad ke chakkar mein pad gaya
achhe sukhun ka lutf nahin le saka qamar
naqqaad jab inaad ke chakkar mein pad gaya
दुश्मन से इत्तिहाद के चक्कर में पड़ गया
हर दोस्त अब मफ़ाद के चक्कर में पड़ गया
थोड़ी जगह मिली जो किसी काख़-ए-हुस्न में
दिल सारी जाइदाद के चक्कर में पड़ गया
करता रहा गुरेज़ जो इक उम्र वस्ल से
अब लम्स के स्वाद के चक्कर में पड़ गया
इक हुस्न-ए-शानदार पे कामिल ग़ज़ल के बाद
शाइ'र नए मवाद के चक्कर में पड़ गया
यकसानियत छलकने लगी उस के शे'र से
जो शख़्स इन्फ़िराद के चक्कर में पड़ गया
पट्टी तअ'स्सुबात की बाँधी जो ग़ैर ने
अपनों से ही जिहाद के चक्कर में पड़ गया
अच्छे सुख़न का लुत्फ़ नहीं ले सका 'क़मर'
नक़्क़ाद जब इनाद के चक्कर में पड़ गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Aasi
our suggestion based on Qamar Aasi
As you were reading Visaal Shayari Shayari