aaqil hai baa-shuoor hai kaafi zaheen bhi
is par hai mustaazaad vo az-had haseen bhi
bosa kisi bhi phool ka ham ne nahin liya
rukhsaar muntazir rahe lab bhi jabeen bhi
ghar le liya hai ain tire ghar ke saamne
aur ik khareed laaya hoon main doorbeen bhi
sab kaam ho rahe hain ajeeb is qadar ajeeb
likhne se pehle sochte hain kaatbeen bhi
ik shokh-o-shang tifl chhupa hai daroon-e-dil
sanjeeda lag raha hoon b-zaahir mateen bhi
aankhon mein jis ki rehm ho haathon mein rotiyaan
vo shakhs muflison ka dharm bhi hai deen bhi
insaaniyat ke jism pe chand aise daagh hain
jin par hai sharmasaar falak aur zameen bhi
hanste hue marega koi dil ghazeeda shakhs
aayega is draame ke andar vo seen bhi
ashaar gar safar na karein dil se dil talak
dete nahin hain daad qamar saamaain bhi
आक़िल है बा-शुऊर है काफ़ी ज़हीन भी
इस पर है मुस्ताज़ाद वो अज़-हद हसीन भी
बोसा किसी भी फूल का हम ने नहीं लिया
रुख़्सार मुंतज़िर रहे लब भी जबीन भी
घर ले लिया है ऐन तिरे घर के सामने
और इक ख़रीद लाया हूँ मैं दूरबीन भी
सब काम हो रहे हैं अजीब इस क़दर अजीब
लिखने से पहले सोचते हैं कातबीन भी
इक शोख़-ओ-शंग तिफ़्ल छुपा है दरून-ए-दिल
संजीदा लग रहा हूँ ब-ज़ाहिर मतीन भी
आँखों में जिस की रहम हो हाथों में रोटियाँ
वो शख़्स मुफ़लिसों का धरम भी है दीन भी
इंसानियत के जिस्म पे चंद ऐसे दाग़ हैं
जिन पर है शर्मसार फ़लक और ज़मीन भी
हँसते हुए मरेगा कोई दिल गज़ीदा शख़्स
आएगा इस ड्रामे के अंदर वो सीन भी
अशआर गर सफ़र न करें दिल से दिल तलक
देते नहीं हैं दाद 'क़मर' सामईन भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Aasi
our suggestion based on Qamar Aasi
As you were reading Nature Shayari Shayari