aakhirsh dard ya dava tha main
zindagi tu bata ki kya tha main
main kabhi ik jagah ruka hi nahin
aisa lagta hai ki hawa tha main
haan mujhe khud ko zer karna pada
apne raaste mein aa raha tha main
ai qamar ab mujhe bhi yaad nahin
aakhiri baar kab hansa tha main
आख़िरश दर्द या दवा था मैं
ज़िंदगी तू बता कि क्या था मैं
मैं कभी इक जगह रुका ही नहीं
ऐसा लगता है कि हवा था मैं
हाँ मुझे ख़ुद को ज़ेर करना पड़ा
अपने रास्ते में आ रहा था मैं
ऐ 'क़मर' अब मुझे भी याद नहीं
आख़िरी बार कब हँसा था मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Saqi
our suggestion based on Qamar Saqi
As you were reading Chaand Shayari Shayari