abhi tak aankh se lipate hue hain | अभी तक आँख से लिपटे हुए हैं

  - Qamar Saqi

abhi tak aankh se lipate hue hain
vo hangaame jo an-dekhe hue hain

tumhaare hosh to saalim hain lekin
hamaare baal to bikhre hue hain

safar ka waqt raushan ho raha hai
badan pe raaste ubhre hue hain

bahadur is tajassus mein hain ghaltan
hamaare sar kahaan rakhe hue hain

charaago kis se itna dar rahe ho
hawa ke daant to toote hue hain

अभी तक आँख से लिपटे हुए हैं
वो हंगामे जो अन-देखे हुए हैं

तुम्हारे होश तो सालिम हैं लेकिन
हमारे बाल तो बिखरे हुए हैं

सफ़र का वक़्त रौशन हो रहा है
बदन पे रास्ते उभरे हुए हैं

बहादुर इस तजस्सुस में हैं ग़लताँ
हमारे सर कहाँ रक्खे हुए हैं

चराग़ो किस से इतना डर रहे हो
हवा के दाँत तो टूटे हुए हैं

  - Qamar Saqi

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Saqi

As you were reading Shayari by Qamar Saqi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Saqi

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari