buland-o-past ko hamvaar kar ke aaya hoon | बुलंद-ओ-पस्त को हमवार कर के आया हूँ

  - Qamar Saqi

buland-o-past ko hamvaar kar ke aaya hoon
main aasmaan pe zameen se utar ke aaya hoon

hazaar jism ke dariya the meri raahon mein
na jaane kitne bhanwar paar kar ke aaya hoon

vo ik mazaak jise log ishq kahte hain
main us mazaak ka jurmaana bhar ke aaya hoon

ab is se aage khuda jaane kab bikhar jaaun
yahan talak to bahut ban sanwar ke aaya hoon

बुलंद-ओ-पस्त को हमवार कर के आया हूँ
मैं आसमाँ पे ज़मीं से उतर के आया हूँ

हज़ार जिस्म के दरिया थे मेरी राहों में
न जाने कितने भँवर पार कर के आया हूँ

वो इक मज़ाक़ जिसे लोग इश्क़ कहते हैं
मैं उस मज़ाक़ का जुर्माना भर के आया हूँ

अब इस से आगे ख़ुदा जाने कब बिखर जाऊँ
यहाँ तलक तो बहुत बन सँवर के आया हूँ

  - Qamar Saqi

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Saqi

As you were reading Shayari by Qamar Saqi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Saqi

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari