meri tasveer le kar kya karoge | मिरी तस्वीर ले कर क्या करोगे

  - Raabia Sultana Nashad

meri tasveer le kar kya karoge
meri tasveer ik khwaab-e-pareshaan
chhupe hain is mein laakhon gham ke toofaan
meri tasveer le kar kya karoge
meri tasveer hai maayus-o-muztar
meri tasveer ranj-o-gham ka paikar
ye ik din baar ho jaayegi tum par
meri tasveer le kar kya karoge
meri tasveer mein kab zindagi hai
saraapa gham saraapa bekasi hai
jabeen raushan na honton par hasi hai
meri tasveer le kar kya karoge
meri tasveer hai kuchh dhundli dhundli
meri tasveer hai ashkon se bheegi
meri tasveer hai khoi hui si
meri tasveer le kar kya karoge
na phir haathon mein yun loge tum us ko
na apne paas rakhhoge tum us ko
utha kar fenk hi doge tum us ko
meri tasveer le kar kya karoge

मिरी तस्वीर ले कर क्या करोगे
मिरी तस्वीर इक ख़्वाब-ए-परेशाँ
छुपे हैं इस में लाखों ग़म के तूफ़ाँ
मिरी तस्वीर ले कर क्या करोगे
मिरी तस्वीर है मायूस-ओ-मुज़्तर
मेरी तस्वीर रंज-ओ-ग़म का पैकर
ये इक दिन बार हो जाएगी तुम पर
मिरी तस्वीर ले कर क्या करोगे
मिरी तस्वीर में कब ज़िंदगी है
सरापा ग़म सरापा बेकसी है
जबीं रौशन न होंटों पर हँसी है
मिरी तस्वीर ले कर क्या करोगे
मिरी तस्वीर है कुछ धुँदली धुँदली
मिरी तस्वीर है अश्कों से भीगी
मिरी तस्वीर है खोई हुई सी
मिरी तस्वीर ले कर क्या करोगे
न फिर हाथों में यूँ लोगे तुम उस को
न अपने पास रक्खोगे तुम उस को
उठा कर फेंक ही दोगे तुम उस को
मिरी तस्वीर ले कर क्या करोगे

  - Raabia Sultana Nashad

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Raabia Sultana Nashad

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari