hamne ye kab kaha hai tum dilruba ho jaao | हमने ये कब कहा है तुम दिलरुबा हो जाओ

  - Rachit Sonkar

hamne ye kab kaha hai tum dilruba ho jaao
pehle qareeb aao phir bewafa ho jaao

hamko to mil gai hai phir se nayi muhabbat
tum bhi kisi ki ulfat mein mubtila ho jaao

tumne gulaab maanga usne sharaab di hai
uska ishaara samjho us se juda ho jaao

rakhna agar nahin hai rishta kisi se tumko
chhoti si baat par tum sabse khafa ho jaao

paapon se bhar gaya hain ab to ghada tumhaara
ganga nahaao jaakar phir se khuda ho jaao

armaan jaga ke dil ke phir se sula diye hai
khud hi jalao deepak khud hi hawa ho jaao

हमने ये कब कहा है तुम दिलरुबा हो जाओ
पहले क़रीब आओ फिर बेवफ़ा हो जाओ

हमको तो मिल गई है फिर से नई मुहब्बत
तुम भी किसी की उल्फ़त में मुब्तिला हो जाओ

तुमने गुलाब माँगा उसने शराब दी है
उसका इशारा समझो उस से जुदा हो जाओ

रखना अगर नहीं है रिश्ता किसी से तुमको
छोटी सी बात पर तुम सबसे ख़फ़ा हो जाओ

पापों से भर गया हैं अब तो घड़ा तुम्हारा
गंगा नहाओ जाकर फिर से ख़ुदा हो जाओ

अरमाँ जगा के दिल के फिर से सुला दिए है
ख़ुद ही जलाओ दीपक ख़ुद ही हवा हो जाओ

  - Rachit Sonkar

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rachit Sonkar

As you were reading Shayari by Rachit Sonkar

Similar Writers

our suggestion based on Rachit Sonkar

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari