muflisi mein aisi haalat ho gai hai
meri mar jaane ki soorat ho gai hai
sochta tha chhoot jaayegi kisi din
par udaasi meri aadat ho gai hai
dost mitti daal ke jaate hain aise
zeest jaise qabr ki chat ho gai hai
pehle jo seelan meri deewaar par thi
ab mere chehre ki rangat ho gai hai
maine kal dekha tha us ko ghar ke baahar
aur bhi vo khoobsurat ho gai hai
daantte hain ulte vo maataa pitaa ko
bacchon ki ab itni himmat ho gai hai
मुफ़लिसी में ऐसी हालत हो गई है
मेरी मर जाने की सूरत हो गई है
सोचता था छूट जाएगी किसी दिन
पर उदासी मेरी आदत हो गई है
दोस्त मिट्टी डाल के जाते हैं ऐसे
ज़ीस्त जैसे क़ब्र की छत हो गई है
पहले जो सीलन मेरी दीवार पर थी
अब मेरे चेहरे की रंगत हो गई है
मैंने कल देखा था उस को घर के बाहर
और भी वो ख़ूबसूरत हो गई है
डाँटते हैं उल्टे वो माता पिता को
बच्चों की अब इतनी हिम्मत हो गई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rachit Sonkar
our suggestion based on Rachit Sonkar
As you were reading Depression Shayari Shayari