dard ban jaaye jo darmaan to ghazal hoti hai
chaaragar bhi lage hairaan to ghazal hoti hai
koi bismil jo ho shaadan to ghazal hoti hai
koi qaateel ho pashemaan to ghazal hoti hai
shab ko aane ka yaqeen poora dila kar shab mein
tod dale koi paimaan to ghazal hoti hai
yaas ke ghor andhere mein achaanak koi
sham'a ho jaaye farozaan to ghazal hoti hai
tees uthati hai ghazal ban ke mere seene se
zakham karta hai jo ehsaan to ghazal hoti hai
zulmat-e-hijr mein rah rah ke kasak uthne se
ho kathin raat bhi aasaan to ghazal hoti hai
ek chingaari jo mastur hai mere dil mein
raat ko kar de darkhshan to ghazal hoti hai
phool khilte hain to hoti hai chaman mein khushboo
dil mein hota hai charaaghaan to ghazal hoti hai
aalam-e-shauq-e-mulaqaat mein parwaane se
sham'a hoti hai gurezaan to ghazal hoti hai
mujh se sargoshiyaan karti hai khamoshi shab ki
aur phir uthata hai toofaan to ghazal hoti hai
aarzoo paaye jo takmeel to hoti hai fana
ghat ke rah jaaye jo armaan to ghazal hoti hai
be-karaan jaur-o-sitam hi nahin laate us ko
ho karam bhi jo faraawan to ghazal hoti hai
दर्द बन जाए जो दरमाँ तो ग़ज़ल होती है
चारागर भी लगे हैराँ तो ग़ज़ल होती है
कोई बिस्मिल जो हो शादाँ तो ग़ज़ल होती है
कोई क़ातिल हो पशेमाँ तो ग़ज़ल होती है
शब को आने का यक़ीं पूरा दिला कर शब में
तोड़ डाले कोई पैमाँ तो ग़ज़ल होती है
यास के घोर अंधेरे में अचानक कोई
शम्अ' हो जाए फ़रोज़ाँ तो ग़ज़ल होती है
टीस उठती है ग़ज़ल बन के मिरे सीने से
ज़ख़्म करता है जो एहसाँ तो ग़ज़ल होती है
ज़ुल्मत-ए-हिज्र में रह रह के कसक उठने से
हो कठिन रात भी आसाँ तो ग़ज़ल होती है
एक चिंगारी जो मस्तूर है मेरे दिल में
रात को कर दे दरख़्शाँ तो ग़ज़ल होती है
फूल खिलते हैं तो होती है चमन में ख़ुशबू
दिल में होता है चराग़ाँ तो ग़ज़ल होती है
आलम-ए-शौक़-ए-मुलाक़ात में परवाने से
शम्अ' होती है गुरेज़ाँ तो ग़ज़ल होती है
मुझ से सरगोशियाँ करती है ख़मोशी शब की
और फिर उठता है तूफ़ाँ तो ग़ज़ल होती है
आरज़ू पाए जो तकमील तो होती है फ़ना
घट के रह जाए जो अरमाँ तो ग़ज़ल होती है
बे-कराँ जौर-ओ-सितम ही नहीं लाते उस को
हो करम भी जो फ़रावाँ तो ग़ज़ल होती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafeeq Pilibhiti
our suggestion based on Rafeeq Pilibhiti
As you were reading Khamoshi Shayari Shayari