ab kahaan vo waqt ke be-laus yaari chahiye | अब कहाँ वो वक़्त के बे-लौस यारी चाहिए

  - Rafia Zainab

ab kahaan vo waqt ke be-laus yaari chahiye
umr ke is daur mein ab zimmedaari chahiye

vasl-o-furqat ke tilismi daayron se toot kar
ab rifaqat mein hamein kuchh paayedaari chahiye

yun nahin ke sabr ki talkin kar ke chal diye
chaaragar hain to musalsal gham-gusaari chahiye

kis qadar hain log mere haal par maatam-kunan
shakl par apni bhi kuchh to sogwaari chahiye

hum-safar chunna bhi hai ik kaarobaar-e-zindagi
so hamein aashiq nahin ik kaarobaari chahiye

अब कहाँ वो वक़्त के बे-लौस यारी चाहिए
उम्र के इस दौर में अब ज़िम्मेदारी चाहिए

वस्ल-ओ-फुर्क़त के तिलिस्मी दाएरों से टूट कर
अब रिफ़ाक़त में हमें कुछ पाएदारी चाहिए

यूँ नहीं के सब्र की तल्क़ीन कर के चल दिए
चारागर हैं तो मुसलसल ग़म-गुसारी चाहिए

किस क़दर हैं लोग मेरे हाल पर मातम-कुनाँ
शक्ल पर अपनी भी कुछ तो सोगवारी चाहिए

हम-सफ़र चुनना भी है इक कारोबार-ए-ज़िंदगी
सो हमें आशिक़ नहीं इक कारोबारी चाहिए

  - Rafia Zainab

Aashiq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafia Zainab

As you were reading Shayari by Rafia Zainab

Similar Writers

our suggestion based on Rafia Zainab

Similar Moods

As you were reading Aashiq Shayari Shayari