yun jaun padh kar lahu ugalne ki mujh se shartein na baandh lena | यूँ 'जौन' पढ़ कर लहू उगलने की मुझ से शर्तें न बाँध लेना

  - Rafia Zainab

yun jaun padh kar lahu ugalne ki mujh se shartein na baandh lena
garz ke beja gumaan par tum yaqeen ki girhen na baandh lena

taveel rasta safar hai mushkil asaasa kam hi rakho to behtar
so aisa karna ki apne daaman mein meri nazmein na baandh lena

ubal raha hai jo ek chashma vo bahr-e-aazam banega ik din
kisi kinaare ki chaah mein tum bas apni maujen na baandh lena

jahaan ki khaatir ai jaan-e-jaanaan jo sang-dil tum bane phire ho
mile mohabbat to peeth peeche khud apni baahen na baandh lena

यूँ 'जौन' पढ़ कर लहू उगलने की मुझ से शर्तें न बाँध लेना
ग़रज़ के बेजा गुमान पर तुम यक़ीं की गिर्हें न बाँध लेना

तवील रस्ता सफ़र है मुश्किल असासा कम ही रखो तो बेहतर
सो ऐसा करना कि अपने दामन में मेरी नज़्में न बाँध लेना

उबल रहा है जो एक चश्मा वो बहर-ए-आज़म बनेगा इक दिन
किसी किनारे कि चाह में तुम बस अपनी मौजें न बाँध लेना

जहाँ की ख़ातिर ऐ जान-ए-जानाँ जो संग-दिल तुम बने फिरे हो
मिले मोहब्बत तो पीठ पीछे ख़ुद अपनी बाहें न बाँध लेना

  - Rafia Zainab

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafia Zainab

As you were reading Shayari by Rafia Zainab

Similar Writers

our suggestion based on Rafia Zainab

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari