sitaare | सितारे

  - Rafiq Sandelvi

sitaare
mujhe apna jalwa dikha
waqt ke kis khala mein
mazaahir ki kis kahkashaan mein
zamaane ke kis dub-e-akbar mein
tera thikaana hai
laakhon baras se
tujhe dekhne ki talab mein
joohee shaam dhalti hai
main khud-b-khud khinchta aata hoon
is ghaar-e-shab mein

ajab ghaar hai
ek bazaar hai
sail-e-lamaat ka
aaine nasb hain
rang udte hain
sheeshon ke peeche
chamakdaar cheezein ka ambaar hai
reshami thaan khulte hain
ek ek kar ke
tahon par taheen
lagti jaati hain
muqayyash fardaar kapdon ki
aankhon mein
chobi munqash chhato se
umandti hui raushni
jhilmilaati hai
lehron ki soorat
zari jhaalaron par
mutallaa lakeeron pe
chaandi ke pannon pe
silkii maheen aur ghane haashiyon par
sitaare damakte hain

mavvaaj jaali se
awaaz aati hai
dekhen jee
bazaar mein is se badh kar murassaa
koi aur kapda nahin hai
ise jo bhi pahne
ga
bilkul sitaara lagega
sitaare ke maanind chamkega

kya main tujhe dekh paaoonga
is lan-taraani ke gumbad mein
meri sada goonjti hi rahegi
na jaane tujhe kis ke malboos par
khwaab ki nok-e-sozan se
taanka gaya hai

सितारे
मुझे अपना जल्वा दिखा
वक़्त के किस ख़ला में
मज़ाहिर की किस कहकशाँ में
ज़माने के किस दुब्ब-ए-अकबर में
तेरा ठिकाना है
लाखों बरस से
तुझे देखने की तलब में
जूँही शाम ढलती है
मैं ख़ुद-ब-ख़ुद खिंचता आता हूँ
इस ग़ार-ए-शब में!

अजब ग़ार है
एक बाज़ार है
सैल-ए-लमआत का
आइने नस्ब हैं
रंग उड़ते हैं
शीशों के पीछे
चमकदार चीज़ों का अम्बार है
रेशमीं थान खुलते हैं
एक एक कर के
तहों पर तहें
लगती जाती हैं
मुक़य्यश, फ़रदार कपड़ों की
आँखों में
चोबी मुनक़्क़श छतों से
उमंडती हुई रौशनी
झिलमिलाती है
लहरों की सूरत
ज़री झालरों पर
मुतल्ला लकीरों पे
चाँदी के पन्नों पे
सिल्की महीन और घने हाशियों पर
सितारे दमकते हैं

मव्वाज जाली से
आवाज़ आती है
देखें जी
बाज़ार में इस से बढ़ कर मुरस्सा
कोई और कपड़ा नहीं है
इसे जो भी पहनेगा
बिल्कुल सितारा लगेगा
सितारे के मानिंद चमकेगा

क्या मैं तुझे देख पाऊँगा
इस लन-तरानी के गुम्बद में
मेरी सदा गूँजती ही रहेगी
न जाने तुझे किस के मल्बूस पर
ख़्वाब की नोक-ए-सोज़न से
टाँका गया है!!

  - Rafiq Sandelvi

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafiq Sandelvi

As you were reading Shayari by Rafiq Sandelvi

Similar Writers

our suggestion based on Rafiq Sandelvi

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari