tera shehar
mujhko laga tha ki baad tere
ye shehar mujhse gair ho jaayega
jis tariqe ho chuke hain ham aur tum ab
magar dekho na theek iska ulta hua hai
jo ab tum ja chuke ho to is shehar ka zarra-zarra
is jaade mein
yaadon ka shawl lekar
aashiqi ke footpath pe pade hue
mujh faqeer aashiq ko sula raha hai
tera shehar mujhko bula raha hai
"तेरा शहर"
मुझको लगा था कि बाद तेरे
ये शहर मुझसे ग़ैर हो जाएगा
जिस तरीक़े हो चुके हैं, हम और तुम अब
मगर देखो न ठीक इसका उल्टा हुआ है
जो अब तुम जा चुके हो, तो इस शहर का ज़र्रा-ज़र्रा
इस जाड़े में
यादों का शाॅल लेकर
आशिक़ी के फुटपाथ पे पड़े हुए
मुझ फ़क़ीर आशिक़ को सुला रहा है
तेरा शहर मुझको बुला रहा है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Pratyush Raunak
As you were reading Muflisi Shayari Shayari