are khairaat ki daulat kamaai hi nahin maine
mitaai jo gai hasti dikhaai hi nahin maine
hain ab bhi paas mein tasveer ik uski puraani si
usi tasveer ko ab tak jalai hi nahin maine
ghazal mein dard saare khoon hi likhte rahein raunak
magar phir bhi ghazal koi sunaai hi nahin maine
अरे ख़ैरात की दौलत कमाई ही नहीं मैंने
मिटाई जो गई हस्ती दिखाई ही नहीं मैंने
हैं अब भी पास में तस्वीर इक उसकी पुरानी सी
उसी तस्वीर को अब तक जलाई ही नहीं मैंने
ग़ज़ल में दर्द सारे ख़ून ही लिखते रहें "रौनक"
मगर फिर भी ग़ज़ल कोई सुनाई ही नहीं मैंने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raunak Karn
our suggestion based on Raunak Karn
As you were reading Wajood Shayari Shayari