hasi ki baat ki us ne wahan bula ke mujhe
bahut rulaaya kahaani meri suna ke mujhe
har ek lamha mera khauf ki girift mein hai
muhaafizon se bachaayega kaun aa ke mujhe
kamaal-e-fan se liya kaam us ne mujh se bhi
tabaah apne adoo ko kiya bacha ke mujhe
vo baagh baagh hua hai to be-sabab bhi nahin
mila hai kuchh to use khaak mein mila ke mujhe
tumhein khabar hai ki sar par padegi raakh tire
uda diya hai fazaa mein jo yun jala ke mujhe
use banaya tha main ne badi hi mehnat se
khuda gawaah ki vo bhi chala bana ke mujhe
use kaho ki hain haazir mazid dukh de le
bahut sukoon mila hai agar sata ke mujhe
हँसी की बात कि उस ने वहाँ बुला के मुझे
बहुत रुलाया कहानी मिरी सुना के मुझे
हर एक लम्हा मिरा ख़ौफ़ की गिरफ़्त में है
मुहाफ़िज़ों से बचाएगा कौन आ के मुझे
कमाल-ए-फ़न से लिया काम उस ने मुझ से भी
तबाह अपने अदू को किया बचा के मुझे
वो बाग़ बाग़ हुआ है तो बे-सबब भी नहीं
मिला है कुछ तो उसे ख़ाक में मिला के मुझे
तुम्हें ख़बर है कि सर पर पड़ेगी राख तिरे
उड़ा दिया है फ़ज़ा में जो यूँ जला के मुझे
उसे बनाया था मैं ने बड़ी ही मेहनत से
ख़ुदा गवाह कि वो भी चला बना के मुझे
उसे कहो कि हैं हाज़िर मज़ीद दुख दे ले
बहुत सुकून मिला है अगर सता के मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saadullah Shah
our suggestion based on Saadullah Shah
As you were reading Udas Shayari Shayari