waqt to waqt hai rukta nahin ik pal ke liye
ho wahi baat jo qaaim bhi rahe kal ke liye
munsif-e-waqt haqeeqat hai haqeeqat hai khuda
khauf laazim hai bahtar har ik hal ke liye
ai meri khwaahish-e-tehseel sujha de mujh ko
koi rasta dar-e-imkaan-e-muqaffal ke liye
main samundar hoon khamoshi pe na jaana meri
mujtama karta hoon taqat ko badi chhal ke liye
tarbiyat khoon mein rach jaaye to tab hota hai
warna aasaan nahin jaana kisi karbala ke liye
saad darta hoon agar main to bas ik khwaahish se
vo jo kar de na barhana tujhe makhmal ke liye
वक़्त तो वक़्त है रुकता नहीं इक पल के लिए
हो वही बात जो क़ाएम भी रहे कल के लिए
मुंसिफ़-ए-वक़्त हक़ीक़त है हक़ीक़त है ख़ुदा
ख़ौफ़ लाज़िम है बहर-तौर हर इक हल के लिए
ऐ मिरी ख़्वाहिश-ए-तहसील सुझा दे मुझ को
कोई रस्ता दर-ए-इम्कान-ए-मुक़फ़्फ़ल के लिए
मैं समुंदर हूँ ख़मोशी पे न जाना मेरी
मुजतमा' करता हूँ ताक़त को बड़ी छल के लिए
तर्बियत ख़ून में रच जाए तो तब होता है
वर्ना आसाँ नहीं जाना किसी कर्बल के लिए
'साद' डरता हूँ अगर मैं तो बस इक ख़्वाहिश से
वो जो कर दे न बरहना तुझे मख़मल के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saadullah Shah
our suggestion based on Saadullah Shah
As you were reading Mehndi Shayari Shayari