ye raat din ka badalna nazar mein rehta hai
hamaara zehan musalsal safar mein rehta hai
nazar mein us ki to wusa'at hai aasmaanon ki
go dekhne ko parinda shajar mein rehta hai
hamaara naam vo le le to log chaunk utthen
ki fard fard hamaare asar mein rehta hai
shajar shajar jo samar hai to dekh khud ko bhi
jahaan-e-nau ka tasavvur samar mein rehta hai
har ek baat ka bilkul yaqeen aaya magar
hamaara khauf tumhaare agar mein rehta hai
tujhe gumaan hai ki manzil pe to pahunch bhi gaya
har ek shakhs yahan raahguzaar mein rehta hai
use sukoon hai is se ki ham ko chain nahin
bas ik junoon hamaari khabar mein rehta hai
nahin hai kuchh bhi vo ai saad bas khayal sa hai
magar khayal ka sauda to sar mein rehta hai
ये रात दिन का बदलना नज़र में रहता है
हमारा ज़ेहन मुसलसल सफ़र में रहता है
नज़र में उस की तो वुसअ'त है आसमानों की
गो देखने को परिंदा शजर में रहता है
हमारा नाम वो ले ले तो लोग चौंक उट्ठें
कि फ़र्द फ़र्द हमारे असर में रहता है
शजर शजर जो समर है तो देख ख़ुद को भी
जहान-ए-नौ का तसव्वुर समर में रहता है
हर एक बात का बिल्कुल यक़ीन आया मगर
हमारा ख़ौफ़ तुम्हारे अगर में रहता है
तुझे गुमाँ है कि मंज़िल पे तो पहुँच भी गया
हर एक शख़्स यहाँ रहगुज़र में रहता है
उसे सुकून है इस से कि हम को चैन नहीं
बस इक जुनून हमारी ख़बर में रहता है
नहीं है कुछ भी वो ऐ 'साद' बस ख़याल सा है
मगर ख़याल का सौदा तो सर में रहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saadullah Shah
our suggestion based on Saadullah Shah
As you were reading Raat Shayari Shayari