ham ko khush aaya tira ham se khafa ho jaana
sar-b-sar khwaab ka ta'beer-numa ho jaana
chand ashkon ne chhupaaya hai mukammal manzar
ham pe khulta hi gaya tera juda hona
apni khwaahish tiri yaadon mein bhatkati hai kahi
jaise gul-gasht mein titli ka fana ho jaana
shaakh-dar-shaakh subuksaar hawaon ka guzar
ik qafas se kisi panchi ka raha ho jaana
ashk girte hi khile phool mere daaman mein
rut badalte hi parindon ka sada ho jaana
ek saaye ka hai ehsaas mere sar pe sada
kaun sochega kabhi khud se khuda ho jaana
aashna ham bhi mohabbat se nahin hain hargiz
haaye is rabt ka bhi nazr-e-ana ho jaana
हम को ख़ुश आया तिरा हम से ख़फ़ा हो जाना
सर-ब-सर ख़्वाब का ता'बीर-नुमा हो जाना
चंद अश्कों ने छुपाया है मुकम्मल मंज़र
हम पे खुलता ही गया तेरा जुदा होना
अपनी ख़्वाहिश तिरी यादों में भटकती है कहीं
जैसे गुल-गश्त में तितली का फ़ना हो जाना
शाख़-दर-शाख़ सुबुकसार हवाओं का गुज़र
इक क़फ़स से किसी पंछी का रहा हो जाना
अश्क गिरते ही खिले फूल मिरे दामन में
रुत बदलते ही परिंदों का सदा हो जाना
एक साए का है एहसास मिरे सर पे सदा
कौन सोचेगा कभी ख़ुद से ख़ुदा हो जाना
आश्ना हम भी मोहब्बत से नहीं हैं हरगिज़
हाए इस रब्त का भी नज़्र-ए-अना हो जाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saadullah Shah
our suggestion based on Saadullah Shah
As you were reading Valentine Shayari Shayari