tum ne kaisa ye raabta rakha | तुम ने कैसा ये राब्ता रक्खा

  - Saadullah Shah

tum ne kaisa ye raabta rakha
na mile ho na fasla rakha

nahin chaaha kisi ko tere siva
tu ne ham ko bhi paarsa rakha

phool khilte hi khul gaeein aankhen
kis ne khushboo mein saanehaa rakha

tu na rusva ho is liye ham ne
apni chaahat pe dayra rakha

jhooth bola to umr bhar bola
tum ne is mein bhi zaabta rakha

koi dekhe ye saadgi apni
phool yaadon ka ik saja rakha

saad uljha raha magar us ne
tujh se milne ka raasta rakha

तुम ने कैसा ये राब्ता रक्खा
न मिले हो न फ़ासला रक्खा

नहीं चाहा किसी को तेरे सिवा
तू ने हम को भी पारसा रक्खा

फूल खिलते ही खुल गईं आँखें
किस ने ख़ुश्बू में सानेहा रक्खा

तू न रुस्वा हो इस लिए हम ने
अपनी चाहत पे दायरा रक्खा

झूट बोला तो उम्र भर बोला
तुम ने इस में भी ज़ाबता रक्खा

कोई देखे ये सादगी अपनी
फूल यादों का इक सजा रक्खा

'साद' उलझा रहा मगर उस ने
तुझ से मिलने का रास्ता रक्खा

  - Saadullah Shah

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saadullah Shah

As you were reading Shayari by Saadullah Shah

Similar Writers

our suggestion based on Saadullah Shah

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari