dard ko ashk banaane ki zaroorat kya thi | दर्द को अश्क बनाने की ज़रूरत क्या थी

  - Saadullah Shah

dard ko ashk banaane ki zaroorat kya thi
tha jo is dil mein dikhaane ki zaroorat kya thi

ham ne jo kuchh bhi kiya apni mohabbat mein kiya
go samjhte hain zamaane ki zaroorat kya thi

ho jo chaahat to tapak padti hai khud aankhon se
ai mere dost bataane ki zaroorat kya thi

itne hassaas hain saanson se pighal jaate hain
bijliyaan ham pe girane ki zaroorat kya thi

aise lagta hai ki kamzor bahut hai tu bhi
jeet kar jashn manaane ki zaroorat kya thi

दर्द को अश्क बनाने की ज़रूरत क्या थी
था जो इस दिल में दिखाने की ज़रूरत क्या थी

हम ने जो कुछ भी किया अपनी मोहब्बत में किया
गो समझते हैं ज़माने की ज़रूरत क्या थी

हो जो चाहत तो टपक पड़ती है ख़ुद आँखों से
ऐ मिरे दोस्त बताने की ज़रूरत क्या थी

इतने हस्सास हैं साँसों से पिघल जाते हैं
बिजलियाँ हम पे गिराने की ज़रूरत क्या थी

ऐसे लगता है कि कमज़ोर बहुत है तू भी
जीत कर जश्न मनाने की ज़रूरत क्या थी

  - Saadullah Shah

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saadullah Shah

As you were reading Shayari by Saadullah Shah

Similar Writers

our suggestion based on Saadullah Shah

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari