maut ik darinda hai zindagi bala si hai
subh bhi udaasi hai shaam bhi udaasi hai
apni intiha par ham shaayad ibtida mein hain
tab bhi bebaasi thi ab bhi be-libaasi hai
baadlon ko aana hai laut kar isee jaanib
ye zameen hi pyaasi thi ye zameen hi pyaasi hai
ye bhi ek ne'mat hai kaash tum samajh paao
zindagi ke andar jo apne ik khala si hai
jaanta to sab kuchh hai vo bhi mere baare mein
kya karein jo zalim mein khoo-e-na-shanaasi hai
farq hai to ham mein hai waqt ek jaisa hai
san chiyaanve hai ye ya ki san chiyaasi hai
मौत इक दरिंदा है ज़िंदगी बला सी है
सुब्ह भी उदासी है शाम भी उदासी है
अपनी इंतिहा पर हम शायद इब्तिदा में हैं
तब भी बेबसी थी अब भी बे-लिबासी है
बादलों को आना है लौट कर इसी जानिब
ये ज़मीं ही प्यासी थी ये ज़मीं ही प्यासी है
ये भी एक ने'मत है काश तुम समझ पाओ
ज़िंदगी के अंदर जो अपने इक ख़ला सी है
जानता तो सब कुछ है वो भी मेरे बारे में
क्या करें जो ज़ालिम में ख़ू-ए-ना-शनासी है
फ़र्क़ है तो हम में है वक़्त एक जैसा है
सन छियानवे है ये या कि सन छियासी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saadullah Shah
our suggestion based on Saadullah Shah
As you were reading Udasi Shayari Shayari