abr utara hai chaar-soo dekho | अब्र उतरा है चार-सू देखो

  - Saadullah Shah

abr utara hai chaar-soo dekho
ab vo nikherega khoob-roo dekho

surkh eenton pe naachti baarish
aur yaadein hain roo-b-roo dekho

aise mausam mein bheegte rahna
ek shayar ki aarzoo dekho

vo jo zeena-b-zeena utara hai
aks mera hai hoo-b-hoo dekho

apni sochen safar mein rahti hain
us ko paane ki justuju dekho

dil ki duniya hai doosri duniya
aise manzar ko ba-wazoo dekho

ik sukoon hai agarche basti mein
saad andar ki haav-hoo dekho

अब्र उतरा है चार-सू देखो
अब वो निखरेगा ख़ूब-रू देखो

सुर्ख़ ईंटों पे नाचती बारिश
और यादें हैं रू-ब-रू देखो

ऐसे मौसम में भीगते रहना
एक शायर की आरज़ू देखो

वो जो ज़ीना-ब-ज़ीना उतरा है
अक्स मेरा है हू-ब-हू देखो

अपनी सोचें सफ़र में रहती हैं
उस को पाने की जुस्तुजू देखो

दिल की दुनिया है दूसरी दुनिया
ऐसे मंज़र को बा-वज़ू देखो

इक सुकूँ है अगरचे बस्ती में
'साद' अंदर की हाव-हू देखो

  - Saadullah Shah

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saadullah Shah

As you were reading Shayari by Saadullah Shah

Similar Writers

our suggestion based on Saadullah Shah

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari