ham ki chehre pe na laaye kabhi veeraani ko | हम कि चेहरे पे न लाए कभी वीरानी को

  - Saadullah Shah

ham ki chehre pe na laaye kabhi veeraani ko
kya ye kaafi nahin zalim tiri hairaani ko

kaar-e-farhaad se ye kam to nahin jo ham ne
aankh se dil ki taraf mod diya paani ko

sheesha-e-shauq pe tu sang-e-malaamat na gira
aks-e-gul-rang hi kaafi hai giraan-baani ko

daaman-e-chashm mein taara hai na jugnoo koi
dekh ai dost meri be-sar-o-saamaani ko

tu ruke ya na ruke faisla tujh par chhodaa
dil ne dar khol diye hain tiri aasaani ko

haan mujhe zabt hai sauda hai jinno hai shaayad
de lo jo naam bhi chaaho meri nadaani ko

jis mein mafhoom ho koi na koi rang-e-ghazal
saad jee aag lage aisi zabaan-daani ko

हम कि चेहरे पे न लाए कभी वीरानी को
क्या ये काफ़ी नहीं ज़ालिम तिरी हैरानी को

कार-ए-फ़रहाद से ये कम तो नहीं जो हम ने
आँख से दिल की तरफ़ मोड़ दिया पानी को

शीशा-ए-शौक़ पे तू संग-ए-मलामत न गिरा
अक्स-ए-गुल-रंग ही काफ़ी है गिराँ-बानी को

दामन-ए-चश्म में तारा है न जुगनू कोई
देख ऐ दोस्त मिरी बे-सर-ओ-सामानी को

तू रुके या न रुके फ़ैसला तुझ पर छोड़ा
दिल ने दर खोल दिए हैं तिरी आसानी को

हाँ मुझे ज़ब्त है सौदा है जिन्नों है शायद
दे लो जो नाम भी चाहो मिरी नादानी को

जिस में मफ़्हूम हो कोई न कोई रंग-ए-ग़ज़ल
'साद' जी आग लगे ऐसी ज़बाँ-दानी को

  - Saadullah Shah

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saadullah Shah

As you were reading Shayari by Saadullah Shah

Similar Writers

our suggestion based on Saadullah Shah

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari