dasht ki pyaas badhaane ke liye aaye the
abr bhi aag lagaane ke liye aaye the
aise lagta hai ki ham hi se koi bhool hui
tum kisi aur zamaane ke liye aaye the
apni patharaai hui aankhon ko jhapken kaise
jo tira aks churaane ke liye aaye the
mauj-dar-mauj hua aab-e-ravaan qaus-e-quzah
taare aankhon mein nahaane ke liye aaye the
log kahte hi rahe saad batao kuchh to
ham ki bas ashk bahaane ke liye aaye the
दश्त की प्यास बढ़ाने के लिए आए थे
अब्र भी आग लगाने के लिए आए थे
ऐसे लगता है कि हम ही से कोई भूल हुई
तुम किसी और ज़माने के लिए आए थे
अपनी पथराई हुई आँखों को झपकें कैसे
जो तिरा अक्स चुराने के लिए आए थे
मौज-दर-मौज हुआ आब-ए-रवाँ क़ौस-ए-क़ुज़ह
तारे आँखों में नहाने के लिए आए थे
लोग कहते ही रहे 'साद' बताओ कुछ तो
हम कि बस अश्क बहाने के लिए आए थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saadullah Shah
our suggestion based on Saadullah Shah
As you were reading Aadmi Shayari Shayari