vo bhi bigda hui ruswaai bhi
jaan-leva hai shanaasaai bhi
dil ki jaanib jo chali gham ki hawa
ladkhadaane lagi tanhaai bhi
tha muqaabil jo mere dost mera
mujh ko achhi lagi paspaai bhi
kyun uthaate ho humeen hote hain
har tamaashe mein tamaashaai bhi
chaandni haath pe rakh kar shab ne
ek soorat mujhe dikhlai bhi
saad kuchh bhi na bane gar tujh se
ek soorat hai shakebaai bhi
वो भी बिगड़ा, हुई रुस्वाई भी
जान-लेवा है शनासाई भी
दिल की जानिब जो चली ग़म की हवा
लड़खड़ाने लगी तन्हाई भी
था मुक़ाबिल जो मिरे दोस्त मिरा
मुझ को अच्छी लगी पस्पाई भी
क्यूँ उठाते हो हमीं होते हैं
हर तमाशे में तमाशाई भी
चाँदनी हाथ पे रख कर शब ने
एक सूरत मुझे दिखलाई भी
'साद' कुछ भी न बने गर तुझ से
एक सूरत है शकेबाई भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saadullah Shah
our suggestion based on Saadullah Shah
As you were reading Raat Shayari Shayari