kisi bhi vaham ko khud par sawaar mat karna | किसी भी वहम को ख़ुद पर सवार मत करना

  - Saadullah Shah

kisi bhi vaham ko khud par sawaar mat karna
khayaal-e-yaar ko gard-o-ghubaar mat karna

khilaaf-e-waaqia kuchh bhi ho sun suna lena
yahi tareeqa magar ikhtiyaar mat karna

tumhaari aankh mein nafrat ho doosron ke liye
tum apni zaat se itna bhi pyaar mat karna

nasha chadha hai to phir ye utar bhi jaayega
jo hai suroor to is ko khumaar mat karna

koi bhi rut ho vo apna jamaal rakhti hai
khizaan jo aaye to is ko bahaar mat karna

ghamon ke saath to jeena hai umr bhar ke liye
khushi ke saath to un ko shumaar mat karna

kisi ko jaan ke anjaan ban ke milna saad
kisi ke saath bhi ye zulm yaar mat karna

किसी भी वहम को ख़ुद पर सवार मत करना
ख़याल-ए-यार को गर्द-ओ-ग़ुबार मत करना

ख़िलाफ़-ए-वाक़िआ' कुछ भी हो सुन सुना लेना
यही तरीक़ा मगर इख़्तियार मत करना

तुम्हारी आँख में नफ़रत हो दूसरों के लिए
तुम अपनी ज़ात से इतना भी प्यार मत करना

नशा चढ़ा है तो फिर ये उतर भी जाएगा
जो है सुरूर तो इस को ख़ुमार मत करना

कोई भी रुत हो वो अपना जमाल रखती है
ख़िज़ाँ जो आए तो इस को बहार मत करना

ग़मों के साथ तो जीना है उम्र भर के लिए
ख़ुशी के साथ तो उन को शुमार मत करना

किसी को जान के अंजान बन के मिलना 'साद'
किसी के साथ भी ये ज़ुल्म यार मत करना

  - Saadullah Shah

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saadullah Shah

As you were reading Shayari by Saadullah Shah

Similar Writers

our suggestion based on Saadullah Shah

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari